॥ Chaupai ॥
Read Shri Durga Chalisa in Hindi
Namo Namo Durge Sukh Karani ।
Namo Namo Ambe Dukh Harani ॥
Nirakar Hai Jyoti Tumhari ।
Tihoun Lok Phaili Uujiyaari ॥
Shashi Lalaat Mukh Maha Vishala ।
Netra Lal Bhrikoutee Vikaraala ॥
Roop Maatu Ko Adhik Suhaave ।
Darshan Karata Jana Ati Sukh Paave ॥
Tum Sansar Shakti Laya Keena ।
Palana Hetu Anna Dhan Deena ॥
Annapoorna Hui Tu Jag Pala ।
Tumhi Aadi Sundari Bala ॥
Pralayakala Sab Nashana Haari ।
Tum Gouri Shiv Shankar Pyari ॥
Shiv Yogi Tumhre Gun Gaavein ।
Brahma Vishnu Tumhein Nit Dhyavein ॥
Roop Saraswati Ka Tum Dhara ।
Day Subuddhi Rishi Munina Ubara ॥
Dharyo Roop Narsimha Ko Amba ।
Pragat Bhayi Phaad Ke Khamba ॥
Raksha Kari Prahlad Bachaayo ।
Hiranyaykush Ko Swarga Pathayo ॥
Lakshmi Roop Dharo Jag Maahin ।
Shree Narayan Anga Samahin ॥
Ksheer Sindhu Mein Karat Vilaasa ।
Daya Sindhu Deejey Man Aasa ॥
Hingalaja Mein Tumhi Bhavani ।
Mahima Amit Na Jaat Bakhani ॥
Matangi Aru Dhoomawati Mata ।
Bhuvaneshwari Bagala Sukhdata ॥
Shree Bhairav Tara Jag Tarani ।
Chhinna Bhala Bhava Dukh Nivarini ॥
Kehari Vahan Soha Bhavani ।
Laangur Veer Chalata Agavani ॥
Kar Mein Khappar Khadaga Virajay ।
Jako Dekh Kaal Dar Bhajey ॥
Sohe Astra Aur Trishula ।
Jase Uthata Shatru Hiya Shoola ॥
Nagarkot Mein Toumhi Virajat ।
Tihoun Lok Mein Danka Baajat ॥
Shumbh-Nishumbh Daanuv Tum Maare ।
Rakta Beej Shankhana Sanghaare ॥
Mahishasur Nrip Ati Abhimaani ।
Jehi Agh Bhar Mahi Akulaani ॥
Roop Karaal Kali ka Dhara ।
Sen Sahita Tum Tihin Samhara ॥
Pari Gaarh Santana Par Jab Jab ।
Bhayi Sahay Matou Tum Tab Tab ॥
Amarpuri Arubaa Sab Lokaa ।
Tab Mahima Sab Kahey Ashoka ॥
Jwala Mein Hai Jyoti Tumhari ।
Tumhein Sada Poojey Nar Nari ॥
Prem Bhakti Se Jo Yash Gave ।
Dukh Daridra Nikat Nahin Aave ॥
Dhyaave Tumhein Jo Nar Man Layi ।
Janma Maran Tako Chhouti Jaayi ॥
Yogi Sur Muni Kahat Pukaari ।
Yog Na Hoye Bina Shakti Tumhari ॥
Shankara Acharaj Tap Ati Keenho ।
Kaam Krodh Jeet Sab Leenho ॥
Nishidin Dhyan Dharo Shankar Ko ।
Kaahu Kaal Nahin Soumiro Tumko ॥
Shakti Roop Ko Maram Na Payo ।
Shakti Gayi Tab Man Pachitayo ॥
Sharnagat Huyi Kirti Bakhaani ।
Jai Jai Jai Jagadambe Bhavani ॥
Bhayi Prasanna Aadi Jagadamba ।
Dayi Shakti Nahin Keen Vilamba ॥
Maukon Maatu Kashta Ati Ghero ।
Tum Bin Kaun Harey Dukh Mero ॥
Asha Trishna Nipat Satavein ।
Ripu Moorakh Mohe Ati Darpaave ॥
Shatru Nash Kijey Maharani ।
Soumiron Ikchit Tumhein Bhavani ॥
Karo Kripa Hey Maatu Dayala ।
Riddhi Siddhi Dey Karahou Nihaala ॥
Jab Lagi Jiyoun Daya Phal Paoun ।
Tumhro Yash Mein Sada Sounaoun ॥
Durga Chalisa Jo Nar Gaavey ।
Sab Sukh Bhog Parampad Pavey ॥
Devidas Sharan Nij Jaani ।
Karahoun Kripa Jagadambe Bhavani ॥
॥Doha॥
Sharanaagat Rakshaa Kare, Bhakt Rahe Nishank ।
Main Aayaa Teri Sharan Me, Maatu Lijiye Ank ॥
Read Shri Durga Chalisa in Hindi
Chitragupt Chalisa (चित्रगुप्त चालीसा)
॥ Doha ॥ Sumir Chitragupt Ish Ko, Satat Navau Shisha ।Brahma Vishnu Mahesh Sah, Riniha Bhe Jagadisha ॥Karo Kripa Karivar Vadan, Jo Sarashuti Sahay ।Chitragupt Jas Vimalayash, Vandan Guroopad Laay ॥ Read Shri Chitragupt Chalisa in Hindi ॥ Chaupai ॥…
Bhagavad Geeta Chalisa (भगवद गीता चालीसा)
॥ Chaupai ॥ Read Shri Bhagavad Geeta Chalisa in Hindi Prathamahin Guru Ko Shish Navaun। Haricharano Mein Dhyan Lagaun॥Git Sunaun Adbhut Jiske। Dharan Se Ho Beda Par॥ Arjun Kahai Suno Bhagavana। Apane Rup Bataye Nana॥Unka Main Kachhu Bhed Na Jana।…
Shri Mahalakshmi Chalisa (श्री महालक्ष्मी चालीसा)
॥ Doha ॥ Jai Jai Shri Mahalakshmi,Karun Mata Tava Dhyana।Siddha Kaja Mama Kijiye,Nija Shishu Sevaka Jana॥ Read Shri Mahalakshmi Chalisa in Hindi ॥ Chaupai ॥ Namo Maha Lakshmi Jai Mata।Tero Nama Jagata Vikhyata॥Adi Shakti Ho Mata Bhavani।Pujata Saba Nara Muni…
Annapurna Chalisa (अन्नपूर्णा चालीसा)
॥ Doha ॥ Vishweshvar Padpadam Ki Raj Nij Shish Lagay ।Annapurne, Tav Suyash Baranaun Kavi Matilay । Read Shri Annapurna Chalisa in Hindi ॥ Chaupai ॥ Nity Anand Karini Mata,Var Aru Abhay Bhav Prakhyata ॥Jai ! Saundarya Sindhu Jag Janani,Akhil…
Tulasi Chalisa (तुलसी चालीसा)
॥ Doha ॥ Jai Jai Tulsi Bhagavati Satyavati Sukhdani ।Namo Namo Hari Preyasi Shri Vrinda Gun Khani ॥ Shri Hari Shish Birajini, Dehu Amar Var Amb ।Janhit He Vrindavani Ab Na Karahu Vilamb ॥ Read Shri Tulasi Chalisa in Hindi…